Kehne Ko Jashan-e-bahara Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Kehne Ko Jashan-e-bahara Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Phool Se Khusboo Khafa Khafa Hai Gulsan Mein
Chupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Mein
Sare Sehmein Nazare Hain
Soye Soye Vaqt Ke Dhare Hain
Aur Dil Mein Koi Khoyi Si Baatein Hain
Kehne Ko Jashan-e-bahara Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Phool Se Khusboo Khafa Khafa Hai Gulsan Mein
Chupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Mein
Kaise Kahen Kya Hai Sitam
Sochte Hai Abb Yeh Hum
Koi Kaise Kahen Woh Hai Ya Nahi Humare
Karte To Hai Saath Safar
Fasle Hain Phir Bhi Magar
Jaise Milte Nahi Kisi Dariya Ke Do Kinare
Pass Hain Phir Bhi Paas Nahi
Humko Yeh Gum Raas Nahi
Seeshe Ki Ek Diware Hai Jaise Darmiyan
Sare Sehmein Nazare Hain
Soye Soye Vaqt Ke Dhare Hain
Aur Dil Mein Koi Khoyi Si Baatein Hain
Kehne Ko Jashan-e-bahara Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Phool Se Khusboo Khafa Khafa Hai Gulsan Mein
Chupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Mein
Humne Ne Jo Tha Nagma Suna
Dil Ne Tha Usko Chuna
Yeh Dastan Humen Vaqt Ne Kaise Sunai
Humjo Agar Hai Gumgin
Woh Bhi Udhar Khush To Nahi
Mulakato Mein Jaise Ghul Si Gai Tanhai
Milke Bhi Hum Milte Nahi
Khilke Bhi Gul Khilte Nahi
Aankhon Mein Hai Baharein Dil Mein Khilza
Sare Sehmein Nazare Hain
Soye Soye Vaqt Ke Dhare Hain
Aur Dil Mein Koi Khoyi Si Baatein Hain
O Hoo Kehne Ko Jashan-e-bahara Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Phool Se Khusboo Khafa Khafa Hai Gulsan Mein
Chupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Mein
ข้อความที่โพสจะต้องไม่น้อยกว่า {{min_t_comment}} ตัวอักษรและไม่เกิน {{max_t_comment}} ตัวอักษร
กรอกชื่อด้วยนะ
_________
กรอกข้อมูลในช่องต่อไปนี้ไม่ครบ
หรือข้อมูลผิดพลาดครับ :
_____________________________
ช่วยกรอกอีกครั้งนะครับ
กรุณากรอกรหัสความปลอดภัย
ความคิดเห็น